Laga Reh - Shehzad Roy

Posted by Atish in ,

This is absolutely brilliant. Witty, catchy, satirical, refreshing. Listen to it in full volume. It will make you laugh. The one liners interlacing the song will make you nod in admiration.
I'm just wondering, how much of it holds true in India!

Thanks Rohan. And as this blog tells me, it's creating waves in Pakistan right now.

By the way, this is priceless: Nek woh hai jis ko mauqa nahi mila.

Laga Reh!


Lyrics
[]

[Shehzad Roy (SR): Main jab dus saal ka tha tou mainay nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareeKH kay aik naazuk moR say guzar raha hai.

Bachcha: Abbu!

SR: Main phir bees saal ka hua, mainay phir nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareeKH ke aik naazuk moR say guzar raha hai.]

Aas baandh kar tu khaRa hai, tas say mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aray bus, ab nahi hota

[Siyaasi Kaarkun / Ali Azmat: Tou kia karun? Himmat haar doon?

SR: Nahi. Laga reh.]

[Chorus:
Laga reh, laga reh, tu laga reh
KhaRa reh, khaRa reh, tu khaRa reh
PaRa reh, paRa reh, tu paRa reh]

Laga reh, laga reh, tu laga reh
ARa reh, aRa reh, tu aRa reh
PaRa reh, paRa reh, tu paRa reh

Buzurgon nay mujhsay poochha mulk kaisay yeh chalega?
Buzurgon ko main yeh bola lagay raho, lagay raho
Buzurgon nay mujhsay poochha mulk kaisay yeh chalega?
Buzurgon ko main yeh bola

[SR: Mujhay fikr yeh nahi kay yeh mulk kaisay chalega. Mujhe fikr yeh hai kay kaheen aisay hee na chalta rahay.]

Laga reh, laga reh, tu laga reh
KhaRa reh, khaRa reh, tu khaRa reh

[SR: Yaar, mulk mein baRi tension ho gayi hai.

Buzurg: Koi nahi, koi nahi, sub kuchh Allah pay chhoR dou.]

Kuchh na kar
Kuchh na kar tu
Sab kuchh Allah pay chhoR dey
Bus Allah hee tera haafiz hai

Ae bhai, tu bhi naazuk moR ban gaya, tas say mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aray bus, ab tou dukh hota hai, yaar

[Wakeel: Koi nahi, abhi bhi baRay naik log baaqi hain iss dunya mein.]

Buzurgon nay mujhsay poochha naik kaun hai yeh tou bata?
Buzurgon ko main yeh bola

[SR: Naik woh hai jis ko mauqa nahi mila.]

Chorus (x2)

[News Reporter / Mani: Saaray mulk mein amn-o-amaan ki surat-e-haal bahaal hai.]

Bridge:-

Aur phir aik din teray pairon kay neechay say zameen nikal jaayegi
Aur phir woh tujhay kahengay
Kahengay tu uR raha hai hawaaon mein
Tu uR raha hai hawaaon mein

[Aam Aadmi / Faisal Qureshi (FQ): Tou kia hum sach much hawaaon mein uRengay? Hain?

SR: Tu nahi samjhega, bay!]

Chorus (x2)

[FQ: Iss laRkay ki shakal Shehzad Roy say kitni mil rahi thi.]

[Leader #1: Sir, mera khayaal hai qaum ko jagaanay ka waqt aa gaya hai.

Leader #2: Inn ko matt jagaao. Yeh kisi zaruri kaam say sou rahay hain.]



This entry was posted on Monday, September 22, 2008 at Monday, September 22, 2008 and is filed under , . You can follow any responses to this entry through the comments feed .

1 comments

wat abt

[Leader #1: Sir, mera khayaal hai qaum ko jagaanay ka waqt aa gaya hai.

Leader #2: Inn ko matt jagaao. Yeh kisi zaruri kaam say sou rahay hain.]

September 23, 2008 at 5:00 PM

Post a Comment